Hackers Use Karne Ke Top 7 Operating Systems

Agar aap hacking me interested hai aur aap hacking karna chahate hai tho apko pata hona chahiye ki hacking ke liye konse operating systems use karte hai. Agar apko nahi pata hai tho chaliye mai apko batata hu aise 7 top operating systems ke bare me jinka use hacking ke liye hackers use karte hai. Tho chaliye shuru karte hai.


hacking-me-use-hone-wale-operating-system

1 > KALI Lunix 

       Friends Kali Lunix operating system ek Professional type ka operating system hai. Jiske ander 300 alag alag type ke tools hai. In tools ka use Security ki limit check karne ke liye aur unke polices aur procedure ko check karne ke liye in tools ka use karte hai. Kali Linux ek popular operating system hai. Iska jyada tar use hackers ethical hacking ke liye use karte hai.



2 > KNOPPIX STD 

      Ye ek linux based operating system hai. Is system ko use karne se pehle apko Linux operating system ki achi jankari rehna important hai , kyu ki is me Linux ke hi command lines ka hi use hota hai. Is system ka use professionals ke sath sath beginners bhi kar sakte hai. Is me bhi bahut se Kali Lunix Type tools available hai.

3 > BACKTRACK 5r3



      Knoppix operating system ke bad bari aati hai Backtrack operating system ki. Ye bhi Linux ka hi distribution hai. Iska use penetration testing aur security auditing me use karte hai. Backtrack ko khas karke testing ke time koi bhi information na chode karke banaya gaya hai.

4 > BACKBOX Linux

      Backbox ek ubuntu based Linux system hai. Is operating system ke ander wo sare tools available hai , jo hacking me use hote hai. Aur sare tools fully updated hai. Ye system bahut hi fast hai aur ise use karna bhi aasan hai.  Iska use web applications analysis , Vulnerability assessment , Exploitation ko check karne ke liye iska use kar sakte hai.

5 > NODEZERO Linux
  
     Nodezero me apko lagbag 300 penetration testing tools available hai. Ye system Linux aur Ubuntu dono system ke kuch parts ko lekar taiyar kiya hua system hai Nodezero OS. Iska use kisi bhi live system ko test karne ke liye use kar sakte hai. Is system me bahut default applications installed rehte hai. Jaise ki Web Browser , Office Suite , Mozilla Firefox etc.




6 > WEAKERTHAN OS

      Friends is operating system ka jyada tar use Wi-Fi hacking karne ke liye use kiya  jata hai. Kyu ki iske ander jyada tar wireless tools available hai.  Jaise ki SQL hacking ,Password Cracking , Web Hacking etc.

7 > BLACK ARCH Linux

      Ye ek arch based Linux system hai. Iska use Penetration testing ke liye use kiya jata hai. Is system me 300 se jyada tools available hai.

Also Read :

>> Cyber Crime | Law | Security Kya Hai | Cyber Crime Se Kaise Bache ?

>>How To Hack Any Android Phone Using Kali Linux In Hindi

>> Virus Send Kar Kisi Bhi Computer Ko Kaise Hack Kare ?

Agar ye post apko achi lagi tho aap humhe comment ke jariye apni feedback jarur de.

Post a Comment

0 Comments