Android Phone Root Kaise Kare(With or Without Pc)

Android phone ka istemal aaj kal har koi kar raha hai. Lekin phone ko root karne ke bare me bahut kam log hi jante hai. Waise tho mobile ko root karne ki jarurat sabko nahi padti aur aisa bhi bilkul jaruri nahi hai ki agar apko pas android mobile hai tho apko root karna hi hai. Apne mobile ko root sirf wahi log karna chahate hai. Jinhe apne phone ke sath kuch experiment karna chahate hai. Ya phir jinhe apne mobile ki performance ko aur bhi behtar karna hota hai. Jyadatar technical log apne mobile ko root karte hai. Taki apne mobile ko wo puri tarah apne man ke mutabik use kar sake.

Mobile ko hum do tarike se root kar sakte hai. 
1  :- Computer ka use karke root karna
2 :- Without Computer ka use karne root karna
    
      Jinke pass computer hai wo log apne mobile ko aaram se root kar sakte hai. Lekin jinke pass Computer nahi hai wo log apne mobile ko kaise root kare ? Isi ke baare me  aaj mai apko jankari dene wala hu ki Android mobile ko root kaise kare bina computer ke ?

Android Mobile Ko Root Kaise Kare?

how-to-root-android-mobile

Aaj mai aapko mobiles ko computer ke sath aur computer ke bina root kiya ja sakta hai. In dono ke bare bataunga jisase aap apne mobile ko aasani se root kar sakte hai.

Android Mobile Ko Root Kaise Kare Without Computer

Android Mobile ko root karne ke liye hamhe computer ki jarurat padti hai. Lekin jinke pass computer nahi hai Wo log apne mobile ko root karne ke liye root applications ka use kar sakte hai. Phone ko root karne ke liye internet per bahut se applications moujud hai. Jo apko Google Play Store se aasani se mil jayenge. Mai aapko yaha best 3 Android rooting apps ke baare me bataunga jiski madad se aap apne phone ko aasani se root kar payenge. Mobile ko Root karte samay har instructions ko pad kar aage ke step ko jaye.


Android Phone Ko Root Kaise Kare Janne Se Pehle Kuch Jaruri Jankari 
-

> Apne mobile ko root karne se pehle mobile me 50% charge jarur rakhe. Kyuki rooting ke process ke bich apke mobile ki battery katam na ho jaye.

> Apne mobile ke sabhi data aur files ko root karne se pehle backup jarur kar le kyuki aapka data lost na ho jaye. Aur rooting karne se pehle SD card ko nikal le.

> Aapke mobile ke setting me jakar aapko "Developer Options" ke ander USB Debugging ke option ko tick karna hoga.

> Niche bataye gaye apps me se koi bhi ek app download kar apne mobile ke storage me hi install kar le. Installation ke douran aapko ek warning message dikhayi dega, Application ko install karne ke liye apko 'yes' option ko hi choose karna hoga.

3 Best Apps For Root Android Mobile Without Computer

1. KingRoot

   KingRoot Android mobile ko root karne ka sabse best application hai. KingRoot aapke mobile me rooting ke process ko aasani se aur secure tarike se sambhal tha hai. Ye sabhi tarah ke devices me bahut achi tarah se kaam karta hai. Is app ko aap iski website ya phir Google Play Store se free me download kar sakte hai. Aur install karne ke bad aap apne mobile ko bina computer ke fast root kar sakte hai.

2. FramaRoot

   FramaRoot bhi ek badiya app hai jo Android mobile ko sirf ek hi click me root karne me expert hai. is app ko aap Google Play Store se download nahi kar sakte kyuki ye waha moujud nahi hai. Ise download karne  liye aapko iski website me jakar iski apk file ko aap free me download kar sakte hai. FramaRoot ek secure app hai. Aur iska use karna bhi bahut easy hai. 

3. vRoot 

    vRoot ek popular application hai. Jiska use puri duniya me android phone ko bina computer ke root karne ke liye kiya jata hai. Isko Chinese developers ne develop kiya hai. Aur ye bahut sare languages me available hai. vRoot applications 8000 se bhi jyada android devices ko support karta hai. Aur ye aasani se ek click me root kar deta hai. 

Ye 3 apps aap bina computer ke hi use kar sakte hai. Aur apne android phone ko aasani se root kar sakte hai. Ape mobile ko root karne ke liye aap in apps ka use jarur kare. Inka use karna bahut hi easy hai aur kuch hi minato me aapka mobile root ho jayega. Uske baad aap aaram se apne mobile ke sabhi features ko bina kisi security ke use kar sakte hai. Agar aapko unroot karna hai tho aap inhi apps ke jariye apne mobile ko unroot bhi kar sakte hai.

Ye tho baat ho gayi bina computer ke android mobile ko root karne ke bare me, ab hum janenge ki computer ke sath mobile ko root kaise kare.

Sabse pehle tho aap us procedure ko jarur follow kare jinke baare me mai uper bataya hai ki mobile ko root karne se pehle kuch jaruri baate jinka apko khaas khayal rakhna hai.

Computer Se Root Kaise Kare ?


Computer ke sath android mobile ko root karne ke liye internet per bahut se software available hai. Aur un sab me se KingoRoot software sabse best hai. Isiliye hum isi software ki madad se apne phone ko root karenge.

Step 1: sabse pehle aap apne computer me KingoRoot software download kar install kare.

Step 2: aapko apne mobile ke setting me jakar USB Debugging ke option ko tick kar le, jo apko mobile ke setting me mill jayega.

Step 3: Software ko install kar lene ke baad apne mobile ko USB kebal ke through computer ke sath connect karle. Aur is baat ka dyan rakhe ki apko computer me internet ka connection moujud ho.

Step 4: Ek bar mobile computer ke sath connect ho jaye tho aapko dikhega ki aapke device ka driver aapke computer per download ho raha hai. Apke driver ka installation katam hone ke baad aapko computer ke screen per ek box dikhega jisme Root status No likha hoga, jiska matlab hai ki abhi aapka device rooted nahi hai. Uske baad usi box ke thik niche ROOT ka option dikhega us par click kare. Is process ko pura hone me thoda time lagega.

Step 5: Rooting ka process katam hone ke baad apko finish ka option dikhega us par click kare. Aur aapka mobile root ho jayega.

Aapne dekha ki mobile ko root karna kitna easy hai, lekin phir bhi har instructions ko follow karna bahut hi jaruri hai. Varna apki ek galti se aapke mobile ko puri tarah karab kar sakti hai.

Disclaimer : Mobile ko Root karte samay  agar koi problem aane per Hindi Me Infotech koi jimme dari nahi hai. Kyuki aapko maine pehle bhi bataya hai ki Mobile ko root karte samay aapko instructions padna bahut jaruri hai. Jo bhi karna hai aap apne risk per kar sakte hai. 

Friends agar aap mobile ko root karna chahte hai aur aapko kisi bhi step me problem ho ya koi dout ho tho aap comment kar ke puch sakte hai.

Post a Comment

0 Comments