Hacker Kaise Bane | Hacking Sikhne Ke Top 10 Tips

Hi friends aaj hum is post me apko bataunga ki Hacker Kaise Banne | Hacker banne ke liye kya kya kare. Friends hacking jitni normal lagti hai. Utni hai nahi. Hacking me aap jitna jyada practice karoge utna hi apko success milega.

hacker-kaise-banne

     

Hacker Banne Ke Top 10 Tips 

1. Computer Ke Sath Friendly Bane.

     Hacking sikhne aur hacker banne ke liye sabse jaruri hai ki aap computer ke sath friendly banne. Agar aap computer me jyada baithne se boor ho jate hai , tho bhul jayiye ki aap hacker banoge. Kyuki bina practice ke koi bhi hacking nahi hogi. Aap kitna video dekhe le ya kitne bhi post padle phir bhi apko kam se kam 18 gante computer me bhaithne ki aadat honi chahiye. Tabhi aap computer Friendly ban paoge. 

2. Kali Lunix Friendly Bane.

    Friends agar aap hacking ke bare me jante hai tho aap Kali Linux ke bare me jarur sune honge. Kyuki 90 % hacker Kali Linux os hi use karte hai. Kyuki Kali Linux hacking ke liye hi bana hai. Tho aap jinta ho sake utna Kali Linux ko use kare aur Kali Linux friendly bane. Kali Linux ke commands ko jane. Isse aap ethical hacking me apka career bahut badiya hoga.

2.Operating systems ke Knowledge Rakhe.

     Hacking me apko har type ke operating systems ka use karna pad sakta hai. Isliye aap alag alag operating systems ko chalana aana chahiye jisse aap ache se hacking kar sake. Hacking karne top 10 Operating system ke bare me ke liy niche diye link ko click kare.

4. Network ki Knowledge Rakhe.

    Hacking me network bahut important hai. Bina network knowledge ke aap hacking nahi kar sakte. Isiliye jitna ho sake utna network ke bare me jaane kyuki ye aage bahut jyada hacking me kaam aati hai. 

5. Computer Language Ke Bare Me Jane.

    Friends hacking karne me computer language bahut jaruri hai. Kyuki hacking me basic command ke liye coding bahut jaruri hai. Iske bina hacking karna impossible hai. Isiliye aap computer language sikhe jaise C , C++ ,Java , Python etc. 

6. Good Aur Bad Hacking Ko Samje.

    Hacker har tarah ke hote hai. Agar apko good aur bad hacking me samj na aaye tho , aap kahi galti kar bhaithenge. Isiliye aapko white hat aur black hat hacker ke bare me pata hona chahiye jisse aap crime karne se bach sakte hai. 

7. Hacking Community Ke Sath Connect Rahe. 

     Friends internet per Hacking Sikhne ke liye aise bahut se community hai jisse apko jhudna hoga. Agar hacking sikhte time apko kuch problem aati hai , tho aap unse contact kar sakte hai aur us community se discus kar sakte hai.

8. Hacker Ke Tarah Soche.

    Agar aap sach me hacker banna chahte hai. Tho apko mostly ek bad hacker ki tarah ki soch rakhna hoga. Tab aap apne system ke secure rakh paoge. Jaise aap koi company me job kar rahe hai. Tho waha apko yeh sochna hoga ki ek Black Hat Hacker kaise hack kar sakta hai. Tabhi aap us company ko secure rakh sakte hai.

9. Certification 

    Friends hacking karne ke liye apko certificate ki jarurat nahi hoti hai. Lekin aap ko kahi job chahiye tho apko certificate ki jarurat hogi. Jisse aap ek Professional hacker lagoge. Aur ho sakta hai koi badi company apko hire kare.

10. Over Confident Hone Se Bache.

       Friends me bahut logo ko dekha hai , jo hacking ke bare me thoda bahut jante hai aur utawale ho jate hai. Aur ye apne friends ke samne bol dete hai ki wo ek hacker hai karke jo ki galat baat hai. Hacking karne ke kuch rules hote hai. 
                 Ek apne aap me secret hota hai use apne aap me rakhe , nahi tho ho sakta hai koi apko kisi illegal kam ke liye uksaye aur aap wo kaam kar bhaithe. Tho is baat ka dhyan rakhe.

 Agar aapko is post se related koi sawal hai tho aap humse niche comment kar ke puch sakte hai. 

Post a Comment

0 Comments