Cryptojacking Kya Hai | Kaise Kaam Karta Hai ?

Hello friends hum sab bhi log Internet ka istamal karte hain ek baar data pack recharge karne ke baad hum internet par free me kisi bhi website ko aasani se upyog karte hai. Lekin kya aap ko pata hai sabhi websites ke owner kisi n kisi tarah se paise kamate hain aur paise kamane ke tarike alag-alag ho sakte hai. Lekin paisa sabhi website ke owner kamate hain. Lekin abhi ek naya tarika samane aaya hain. Jiska name jai Cryptojacking.



Aaj ke is article me Crypto Jacking ke baare me, isase paise kaise kamaye jaate hai, isase hamhe kya nuksan hota hai, iska istamal kon karta hain aur bhi kayi tarah ki chizo ke baare me janenge. 

Cryptojacking Kya Hai ?

cryptojacking-kya-hai

Yeh ek aisa tarika hai jisme hacker aapke computer ya smartphone  ki power ka upyog karke CryptoCurrency coin kamate hain. Is tarike me hacker computer user ko bina bataye background JavaScript ke jariye aasani se crypto currency kamate hai, isi liye ise Crypto Jacking kaha jata hai. 



Is process me hackers ko aapke computer ya smartphone me kisi bhi tarah ka attack karna nahi padta hai. Cryptojacking Java Script ke jariye kaam karta hai. Jab bhi aap kisi unsecure, malicious website par hote hai. Tab hacker background me  JavaScript ka istamal karte huwe chori chupke aapke computer, smartphone ki power ko use karte huwe crypto currency kamate hain. Crypto Jacking se BitCoin jaise cryptocurrency kamayi nahi jaati, lekin Monero jaise crypto currency kamayi jaa sakti hai. 


Crypto jacking Sahi Hai Ya Galat iske sambandit me sabhi logo ke alag alag vichar hai. Kayi saare logo ka manna hai ki Cryptojacking ke jariye paise kamana sahi hain. Kyun ki kayi logo ko website me advertise dekhna acha nahi lagta hai, lekin kayi logo ka ye bhi maana hai ki hamhare bina permission ke hamhare computer ke power ka istamal kar paise kamana galat hai. Aapko kya lagta Crypto Jacking sahi hai ya galat comment me jaroor bataye.

Aap Cryptojacking ke baare me jann tho gaye honge lekin aap ke mann me yah question jaroor aa raha hoga ki aakhir kaise pata kare ki hamhare computer ya mobile me koi hacker cryptocurrency kama raha hai. Mai aap ko kuch aasan tarike bata raha hu inki madad se aap aasani se pehchan sakte hai ki Crypto Jacking ho rahi hai ya nahi. 



Jab aap kisi website par jaate hai aur niche bataye gaye baatein aapke saath hoti hain to aapko samaj jana chahiye ki aapka computer me Cryptojacking ho rahi hai.
  • Agar aapke computer ka fan jarurat se jyada tez chal raha hai 
  • CPU ka usage jarurat se jyada ho raha ho |  aap task manager me jaa kar dekh sakte hai.
  • Aap ke laptop ki battery bahut hi tezi se down ho rahi ho 

Cryptojacking Se Hone Wale Nuksan


Agar aap ke computer me crypto jacking ho rahi hai tho aapko kayi tarah ke nuksan ho sakte hain. Tho chaliye jante hai. 
  • Agar aapke computer me lagatar cryptojacking hoti rahe to aapke bijli ka bill badh sakta hai, kyun ki crypto jacking hone se aapke computer ko jyada power chahiye hota hai.
  • Aap ke computer par bahut jyada load hota hai. Jiske  karan aapke computer ka fan tezi se chalne lagta hai. Jyada samaj tak aise hi chalta raha tho ho sakta hai ki aap ke computer me koi problem aa jaye.

>> Computer Hardware Common Problems And Solutions In Hindi

>>Laptop Overheating Problem Ko Kaise Solve Kare ?


Cryptojacking Se Kaise Bache ?


Agar aap cryptojacking se bachana chahate hai to aap ko niche bataye steps ko follow karna hain.



  • Sabse pehli baat aapko kisi bhi Unsecure aur  Malicious website ka upyog nahi karna hai.
  • Aap apne computer me Jis bhi browser ka istamal karte hain. Usme aap JavaScript ko block karna hai. 
  • Aap apne computer me Tor browser ka istamal kar sakte hain
  • Apne Chrome Browser me Extensions ka upyog karke Cryptojacking ko rok sakte hain.
1 > No Coin - Block Miner Web!

no-coin-extension

2 > Anti Miner - No 1 Coin Miner Block

anti-miner-extension

Is tarah se aap aasani se Cryptojacking se bach sakte hai.
Friends umeed karta hu ki mere dwara Cryptojacking se sambandit di gayi jankari aap logo ke liye helpful hogi, agar aap logo ko yeh article pasand aayi  hotho social media par apne friends ke sath share jaroor kare.



Post a Comment

0 Comments