Laptop Overheating Problem Ko Kaise Solve Kare ?

Friends aaj hum laptop reated most common problem ke baare me baat karenge.  Jaise ki laptop over heating problem ko lekar bahut se log aksar pareshan hote hai. Tho friends ab aap ko pareshan hone ki koi jaroorat nahi hai, kyu ki aaj hum aap ke liye laptop over heating se chutkara pane ka 100% working tarika lekar aate hai jisse follow karne ke baad aapka laptop kabhi bhi over heat nahi hoga. Aur aapko laptop repair ke liye paise bhi dene nahi padenge. Agar aap bhi ye laptop se juda yah trick janna chahate ho tho post ko end tak padhe.

Laptop Over Heating Problem kaise Slove Kare

laptop-overheating-problem


Friends laptop ke over heating problem se chutkara pane ke pehle aap ko ye pata hona chahiye ki laptop garam kyu hota hai tho chalo pata kare. Laptop garam ( heat ) kyu hota hai ?

Laptop overheat hone ke piche kuch karan hai jo aap niche padh sakte hai.

● Agar laptop lekar bahut saal huye hai aur laptop ko servicing nahi kiya hai tho laptop me ye problem aa sakti hai.

● Laptop ke Fan me agar bahut saara dust (Kachara) jama hua hai tho overheating problem aa sakti hai.

● CPU Fan spin nahi ho raha hai tho ye problem aati hai.

I hope aap ko laptop overheating ke piche ki wajah pata chal gayi hogi ab hum us se jude solution ke bare me jaanenge ki ye problem ko kaise slove kare ?

Solution 1

Friends aap ka laptop agar bahut heat ho raha hai tho aap ko sab se pehle use servicing kar lena jaroori hai. Kyu ki bahut dino se laptop ko servicing na karne ke wajah se usme dust jama hoti hai. Aur un sare parts ko junk karati hai. Jo processor ko cool rakhne me help karati hai aur laptop me processor ek aisi chiz hai jo sabse jyada garam hoti hai. Tho dosto agar aapka laptop bahut garam ho raha hai , tho aap ko ek bar proper servicing kar lena jaroori hai.

Solution 2

Jaise ki hum uper bataya hai ki Fan me jyada dust jama hone ke karan bhi hamhara laptop garam ho sakta hai. Tho ab sawal aata hai ki aisa kyu tho laptop me sabse jyada garam honewala part hai CPU (processor) hota hai. Aur isiliye use cool rakhne ke liye usper heat sink lagaye jate hai. Aur ye Heat Sink ke aage Fan hota hai jo processor se nikali sari heat air ko laptop se exit karta hai.

cpu-processor-fan

         Par kayi bar kya hota hai ki ye Fan ke ander bahut sara dust jama ho jata hai. Aur aise me ye Fan bahut dheere dheere se spin karta hai jis wajah se hamhara processor thik se cool ho nahi pata hai. Aur yahi karan hai ki heating air ko laptop se exit nahi kar pati hai aur hamhara laptop overheat hone start karta hai. Tho agar aap ka bhi laptop overheating ka problem de raha hai tho ek bar laptop CPU Fan ko jaroor clean kare.

Solution 3

Kahi bar hume pata hota hai ki laptop ke Fan me dust jama hai. Use clean karne ke baad hamhara laptop garam nahi hoga aur ye soch kar hum laptop ke Fan ko clean bhi karte hai. Phir bhi hamhara laptop garam hota hai. Aur hamhe ye pareshani se chutkara nahi milta hai. Tho friends yaha aur ek problem samane aati hai jo hai Dead Fan. Yane agar hamhara Fan dead hai, tho wo spin nahi karega aur Fan spin nahi hone ke karan CPU garam hoga. Aur laptop Shutdown hoga. Tho friends agar dust clean karne ke baad bhi aap ki problem solve nahi ho rahi hai, tho aap ko CPU Fan ko change karna padega jiske bad aap ki laptop ki heating related problem door ho jayegi.

I hope aap ko hamhara aaj ka post pasand aaya hoga.  Tho friends next time se agar aapka laptop garam hota hai tho uper diye trick ko jaroor istemal kare. Agar aapko is post se related koi doubts hai tho niche comment kar ke puch sakte hai. 

Post a Comment

0 Comments