Mobile Ka Pattern, Pin Lock Kaise Thode Bina Data Loss Kiye

Hello friends aaj ki duniya me mobile hi ek aisi technology hai jo hamhe kisi bhi waqt kisi bhi jagah se kisi bhi insan se direct jod deti hain aur badte generation ne mobile technology me aur sudhar laakar usse ek Smartphone bana diya hain aur is smart phone ki wajah se hi aaj kal har insan ke pass mobile hai. Per problem tab aati hai jab in mobiles me kisi tarah ki problem aati hai kyun ki mobile tho smart ho chuka hai.



Par hum itne smart nahi hai jo in mobiles ke problems ko khud solve kar sake, per jisne bhi mobile repairing course kiya hai wo mobile phone ko repair karte hain aur hamhe unhe paise de kar mobile ko repair karna padta hai. Par aaj hum aapko mobile ke ek aise common problem ke baare me jankari dene wale hai jiski jarurat har kisi ko hoti hai, jaise ki Kisi Bhi Mobile Ka Pattern Ya Pin Lock Kaise Khole.

>> Mobile Repairing Tips n Tricks In Hindi

>> How To Remove/Unlock Memory Card Password In Hindi 


Mobile Ko Reset Kiye Bina Mobile Ka Lock Kaise Thode?

mobile-ka-lock-kaise-thode-bina-data-loss-kiye

Friends privacy ki wajah se har koi apne mobile par password set karta hai aur smart phone ki baat kare tho yaha password do tarah ke hote hain. Jaise ki Pattern Lock aur Pin Lock har koyi apne according in me se ek password apne mobile me set kiye hote hain. Par pareshani tab hoti hai jab hum is password ko bhul jaate hai aur us wajah se hum mobile ko fir se unlock nahi kar pate hain. Per aisi situation me hum mobile ko Hard Reset kar ke password ko nikhal sakte hai. Par Mobile Reset karne se password ke sath hamhare mobile ka poora data bhi format hota hain aise me hamhe Mobile Unlock hone ki khushi to hoti hai par data lost hone ka dukh bhi hota hai jo mobile unlock se bada hota hain. 



Tho friends aap ko next time se dukhi hone ki koi jarurat nahi hai, kyun ki aaj hum aapke liye ek aasan tarika lekar aaye hai jiske help se aap sirf 1 click me kisi bhi mobile ke password ko unlock kar sakte ho chaliye pata kare yeh sab kaise hota hain. 

>> Mobile Phone Ko Fast Kaise Kare | Speed Kaise Badhaye

>> Android Smartphone Me Stock Rom Aur Custom Rom Kya Hota Hai | Kisi Bhi Mobile Ko Flash Kaise kare ?

Mobile Ka Pattern, Pin Lock Kaise Thode Bina Data Loss Kiye ?



1 > Sabse pehle niche diye link par click karke Dr.fone name ka Software download kare aur usse apne computer me install kare.

               Download Dr.fone


2 > Software successfully computer me install hone ke baad use open kariye aur aapke samane us software ka interface khulega jaha Lock Screen Removal ke sath aur bhi bahut saare Free Tools hai jo hamhare bahut kaam ke hain. Jaise ki 

  • Data Recovery karne ke liye Data Recovery Tool jiski madad se hum crash mobile se bhi data recovery kar sakte hain.

  • Mobile Root karne ke liye Root Tool hai jiski help se aap koi bhi mobile aasani se Root kar sakte hain.

  • Agar aapka mobile damage ho chuka hai to aap Data Extraction Tool istamal kar sakte hain.

  • Agar aap Mobile Reset kar rahe ho aur aapko dar hai ki aapke mobile ka poora data delete hoga tho aap yaha se poora Backup lekar use Restore kar sakte ho

  • Sim Lock bhi bahut important tool hai jiska istamal kar ke hum kisi bhi sim ke lock ko unlock kar sakte hain.

dr.fone-interface

3 > Filhal to hum bina data lost kiye mobile ka Pattern Lock ya Pin Code ko remove karna hai isiliye hum direct Lock Screen Removal button par click karenge.



Jaise hi aap lock screen removal button par click karoge waise hi aapke samane ek window khulega jaha aap ko Start button pe click karna hain.

lock-screen-removal-tool


4 > Ab aap ke samane ek message aayega ki aapne mobile phone ko USB Cable se computer ke sath Connect kare.

5 > Jaise hi aap Mobile ko Computer se connect karogo waise hi us software se connectivity shuru hogi aur Next Screen me aapko aapne Mobile ka Brand, Device Name, aur Device Model jo mobile ke back site ya Mobile ke Cover Box par hoga usse fill karna hai aur niche diye Next button par click dijiye.

selecting-mobile-model-n-name

6 > Next button par click karte hi aap  ke samane ek Dialog Box khulega jaha Confirm type karke Confirm button pe click karna hain. Fir niche Next button par click kar dijiye

confirm-message

7 > Friends ab software ke instructions ke according aapko Mobile ka Power Off karna hai. Fir ussi time Mobile ka Power Button + Volume Down Button + Home Button  ek sath dabana hai jis se aap ke mobile me Dr.fone ka Unlock Code Package Download hoga, fir Next button par click kar dijiye.

lock-screen-removal-instructions

8 > Ab Computer se Download Recovery Package download hoga, jise aap Screen par live dekh sakte hain [ Yaad rakhe aapke computer me internet connection hona jaruri hai ]

recovery-package-download

Mobile me Recovery Package downloading poora hone ke baad computer screen par Remove Password Completed karke message show hoga yaani aapke mobile se password nikhal chuka hai aur wo bhi bina data gawaye. Ab apne mobile phone ko start kar ke dekhe aap ke mobile ka password remove ho chuka hai.

lock-remove-message

Tho friends isi tarah se aap kisi bhi Android mobile ke Screen Lock, Pattern Lock ya PIN code ko aasani se thod sakte hai.

Also Read :

>> Top 3 Android Mobile Secret Codes In Hindi
>> What's App Par Delete Kiye Messages kaise Padhe ?
>> Online Mobile Ka Insurance Kaise Banaye ?

Umeed hai ki aap ko log samaj gaye honge ki mobile ke lock kaise thode bina data loss kiye?  Agar aapko is post related koi sawal ya fir doubt ho to ↓ niche comment kare


Post a Comment

0 Comments