NFC Kya Hai ? | Kaha Use Hota Hai ?

Aaj mai ek aise  technology ke bare me batane jaa raha hu jo kafi helpful hai. Agar aap nahi jante ki NFC kya hai aur NFC kaise use karte hai tho aap sahi jagah per aaye hai. Actually NFC feature sabhi Android mobile me nahi diya gaya hai. Agar aap iPhone user hai tho aap dekhe hi honge , Ya kisi friend sune honge , ya phir 1 time NFC ka naam sune honge. Jo bhi ho agar aap janna chahte hai ki NFC kya hai tho is post end tak read kare.

Hindi-Me-Infotech

NFC Kya Hai?

    Friends NFC ek wireless technology hai. Jaise bluetooth , Wi-Fi. NFC means near Field Communication. NFC short range wireless technology hai. NFC bahut hi easy data transfer technology hai. Lekin is feature ko use karne ke liye dono mobile me NFC enables hona chahiye. Aur ye service maximum 4 c.m ke distance ander communicate kar sakte hai. Kyu ki NFC transmission me electromagnetic radio field ka use kiya jata hai. Ye feature use karne se data secured hota hai. 

NFC Ko Kaise Use Kare ?

 Friends NFC ko use karna bahut hi simple hai , jaise ki mai pehle hi bata chuka hu ki 2 device ko 4 c.m ke ander ye communicate establish karti hai. Jo device ke sath aap NFC connect karna chahte hai us device me bhi NFC feature enable hona chahiye. Agar dono mobile NFC feature hai aasani se use kar sakte hai. Ye connect karna bahut hi aasan hai. Bas dono mobile ko apas me  touch karna hota hai aur NFC connect ho jata hai.

NFC Se Kya Kya Kar Sakte Hai ?

  • NFC Se File Transfer Kar Sakte Hai.

     NFC se file transfer karna bahut hi aasan hai. Iske liye aap niche ke steps follow kare

1. Sabse pehle device setting ke more me jaye aur NFC ko On kare.

2. Ab jo file ko send karna chahte ho us file ko tap kare.

3. Phir dono mobile ko aapas me touch kare. Aur apki file share ho jayegi.

  • NFC Se Mobile Payments Kar Sakte Hai.

      NFC ki madad se aap aasani se mobile se payment kar sakte hai. NFC debit card aur Credit card se payment karne ki feature bhi provid karti hai. Ye feature aane wale time me kafi useful hogi.

  • NFC Tag

     NFC tag store aur track karne me use hota hai. Jaise agar aap business karte ho or aap chahte hai ki apke employee ko track karu jaise employee ki current location etc. NFC tag ki madad se kar sakte hai.

Ab apko pata chal gaya hoga ki NFC kya hai aur kaha use hota hai. 

Agar apka koi sawal hai tho aap comment ke jariye puch sakte hai. Aur apko ye post helpful hai tho jarur share kare.

Post a Comment

0 Comments