Google Datally App Kya Hai | Kaise Kaam Karta Hai ?

Sabse Badi IT Company Google ne ek aisa app banaya hai. Jiski madad se hum apne smart phone ya koi Internet ki data usage ko bahut hadd tak kam kar sakte hai. Tho dosto jaisa ki aap jante hai. Is samay India me Digitization chal raha hai. Har jagah par har koi technology ka behtar istamal karke apne liye munafa karna chahata hai.

     Demonetization ke baad Sarkar ne Cashless Transactions  ko badawa dekar logo ko digital payment ko istamal karne par jor diya hai. Yu kahe tho ab India Digital ban gaya hai.

India me jyadatar log Internet ka istamal Entertainment ke liye karte hai. Aur YouTube jaise website par jyada data istamal karte hai. Iske sath Background me chal rahi apps bina pata lage data udda leti hai. Aaj bhi bahut log aise hai jinko jyada data ki jaroorat padti hai. Par Background me chal rahi apps se  unka data unko pata lage bina hi udd jata hai. Bahut baar apne dekha hoga ki data use kiye bina hi aapka data katam ho jata hai. Ye sab Background me chal rahi apps data katam kar rahi hoti hai. Is data ko bachane ke liye log kayi Data Saver Apps ka istamal karte hai.

Waise hi Google ne bhi ek Data Saver App banaya hai. Jiska naam hai Google Datally. Ise kaas un logo ke liye banaya gaya hai. Jo ki Technical Background se talluk nahi rakhte hai. Tho isiliye aaj maine socha hai ki kyuna aap logo ko Google Datally Kya hai ? Aur iske Features ke baare me poori jankari du. Jisase ki aapko bhi iske baare me sahi se pata chale. Tho phir chaliye shuru karte hai Google Datally kya hai janate hai.

Hindi Me Infotech

Google Datally App Kya Hai ?

Google jo ki world ki sabse badi Search Engine company hai. Sabse bada Search Engine hone ke sath sath ye bahut si cheezo me bhi utna hi bhaag lete hai. Jaise ki abhi kuch deen pehle hi Google ne apne TEZ App launch ki thi jo ki Cashless Transactions ko badawa deti hai. Isi tarah Google ne Android Phone users ko unke mobile data ka app launch kiya gaya hai.

Apne Beta Testing charan ko dourane Google Datally ka name ' Triangle ' rakha gaya tha jo ki ab 'google datally' hai. Google is data saver aap ko duniya bhar me sabhi platform me launch kiya gaya hai. Google Datally ab Android 5.0 ( Lollipop ) ya isase bhi jyada Android par chalane wali sabhi phone ke liye Google Playstore par available hai. Agar aapka phone Android 5.0 ya isse bhi upar version chalate hai tho aap is app ko abi install kar sakte hai.

Google Datally Google ki next million user division ki ek pahal hai. Jiska lakhashya simit Internet Infrastructure wale desho me bhi Internet service ko jyada se jyada pahuchane me hai. Google Philippines me data saver app datally ki testing ki thi. Company ka kehna hai ki app logo ke data istamal ke pattern  ko samj sakta hai. Aur mobile data control ke tarike aapko bata sakta hai. Jab Google Datally testing ke end me thi aur logo ne iska istamal kiya tho wo apne data istamal ko 30% tak kam karne me safal rahe.

Google Datally na sirf data usage ko track karne me madad karna hai. Balki iske sath data ko kam use hone me bhi madad karta hai. Jisko Data Saver kaha jata hai. Waise tho ye service har mobile me available hoti hai. Par iska use karna thoda muskil hota hai. Isme moujood kayi cheeze pehle se hi Android mobile me paayi jaa sakti hai. Par logo ko jankari na hone ke kaaran wo un cheezo ka istamal nahi kar pate the. Google Datally ne un cheezo ka istamal karna aasan banata hai.

Features Of Google Datally 

Waise tho Google Datally data bachane ke liye bahut achi app hai aur ye app kaafi ache features ke sath aati hai. Iske main features hai. ● Data Bubble ● Data Saver.

Data Bubble :

      Iske jariye aap kisi bhi app ka data usage ko block kar sakte hai. Isme do parts hote hai frontback. Inki madad se aap real time data usages dekh sakte hai. Aur agar app jyada data use karti hue dekhe tho aap uska data usage block kar sakte hai.

Data Saver :

           Iske jariye aap 30% tak data bacha sakte hai. Aap har app par data ke usage ki limit laga sakte hai. 
Eg: Agar aap kisi app par data usage ki limit rakhna chahate hai aur chahate hai ki wo app us tay ki gayi limit se jyada data use na kare tho aap Data Saver ka use karke data limit us app par laga sakte hai. Aur wo app us limit se jyada data use nahi kar payegi. Aur aap apni pasand ki apps ko use kar sakte hai.

Data Usage Metrics :

        Iske jariye aap apni dwara kiye gaye data usage ki poori jankari paa sakte hai. Jaise ki aapne data kaha, kis app me kitna istamal kiya hai. Data usage ki history aur har app kitna data use kiya gaya hai jaan sakte hai.

Wi-Fi Finder :

          Google Datally ka ek sabse anokha feature hai Wi-Fi Finder. Wi-Fi Finder ka use karke aap apne aas-pas moujood free Wi-Fi network ki jankari paa sakte hai. Wi-Fi network se aap kitna door hai aur Wi-Fi network se judne se pehle dusre Google Datally user ne kitni rating di hai wo jan sakte hai. Jitni jyada rating hogi network utna hi acha hoga. Aap khud bhi kisi Wi-Fi network ko use karne ke baad us network ko rating de sakte hai.

        Google Datally dene ke liye sirf itne hi features nahi hai. Iske alawa app me kayi aur naye features judne wale hai.

Google Datally App Kaam Kaise Karta hai ?

Jab ham koi app use karte hai tab background me bahut saari apps chalti rehti hai. Jiske baare me user ko koi khabar nahi hoti hai aur unke data packs se data katam hote rehta hai. Isi tarah ke muskil ko hal karne ke liye Google Datally kaam aata hai. Iski madad se background me chal rahe saare unnecessary apps ko band kar deta hai. Jisse hamhara Data Save hota hai. Iske sath ye app data usages ki jankari bhi deta hai. Jisase ki hamhe pata chal sake ki konsa app kitna data use kiya hai.

    Download Google Datally

Also Read :

  Google Ke Top 10 Features

Ye thi Google datally app kya hai, ki kuch jankari. Agar aapne Google dattaly ka use kiya hai tho aap apna experience hamhare sath share kare aur baataye ki Google dattaly ke sath apka experience kaisa hai.
     Apko ye post Google datally kya hai ? Kaisa laga hamhe comment karke jaroor bataye taaki hamhe bhi aapke vicharo se kuch sikhne ko milhe.

           Thanks You 

Post a Comment

0 Comments