Mobile Phone Ko Fast Kaise Kare | Speed Kaise Badhaye

Kya aapka mobile slow ho gaya hai? Aur bar-bar hang ho jata hai. Aise un sabhi smartphones ke sath hota hai jo samaj ke sath purane ho jate hai aur kabhi update nahi hue hote hai. Mobile hang hona kisi ko bhi pasand nahi hai, kyuki hamhe mobile me sab kuch fast chahiye.

Hindi-Me-Infotech


Aaj hum janenge ki mobile hang kyu hota hai aur mobile ko hang hone se kaise bachaye? Aur sath hi janenge ki mobile ki speed kaise badhaye.

Mobile Phone Hang Kyu Hota Hai? 

Jab hum koi naya phone lete hai tho wo poori tarah se fresh hota hai. Usme koi user data aur cache file nahi hote hai. Lekin kuch time baad mobile ke storage me Temporary Files, Application cached data aur user data store hone lagta hai. Jisse mobile ki speed par effect padne hai.

     Mobile phone ki speed kam hona ya hang hone ka ek sabse bada karan ye hai ki hum mobile me bekar ki apps install kar lete hai. Hum un apps ka use tho nahi karte lekin hamhare mobile ko un sabhi installed apps ko process karna padta hai. Jisse mobile ki speed par effect padta hai.

Mobile Phone Ko Fast Kaise Kare?

Aap in simple se tips ko follow karke apne Android Smartphone ki speed badha sakte hai.

  Mobile Update kare

Sabse pehle aap apne Android phone ko update kare. Androids phone ka update mobile ki speed badhane ke liye hi banaya jata hai. Apne phone ka update check karne ke liye→Setting→About Phone→Software Update par click kare. Agar aapke mobile ka update available ho tho aap use download kar install kare.

  Cached Data Clear Kare

Hamhare Phone me bahut sari apps hone ke karan unka cached data store hota rehta hai. Jis app ka cache data bahut jyada hoga wo app utna hi dheere kaam karega. Aur jabhi ham us app ko use karenge tho hamhara mobile slow ho jayega. 

Cached data clear karne ke liye →Setting→Storage→Cached data par click kare aur sara data clear kar de. Agar aapke mobile ki setting me Cached data option nahi hai tho aap →Setting→Apps me jaye. Phir us app ko open kare jo aap sabse jyada use karte hai. Uske baad Clear cache par click kare.

  Unused Apps Ko Uninstall Kare

Agar aapke mobile me bahut sari apps installed hai. Jinhe aap kabhi use nahi karte, tho aap unhe uninstall kar de. Aisa karne se mobile ke processor ko jyada kaam nahi karna padega.

  Apps Notification Off Kare

Jabhi ham mobile me internet on karte hai tho bahut sare notification alerts aa jate hai. Aise me mobile sabse jyada slow ho jata hai. Kisi bhi app ka notification band karne ke liye →Setting→Apps me jaye. Phir us app ko click kare jiska notification aap band karna chahate hai. Waha par apko Show Notification dekhega uske samne check ✔ nishan ko uncheck karde. Phir wo aap kabhi bhi notification alert nahi dekhayega.

  Home Screen Simple Rakhe

Home Screen par bahut saare widget hone se mobile ki speed par asar padta hai. Animation wale wallpapers use na kare aur apps shortcut bhi kam se kam rakhe.

  Auto Sync Off Rakhe

Hum sab apne mobile me Google account ko add kar dete hai. Aur sab apps ko auto sync ki permission de dete hai. Ye jo data sync  hota hai wo mobile ki performance par bahut jyada asar dalta hai aur sath hi sath battery life par bhi asar dalta hai. Isko  band karne ke liye →Setting→Account me  jaye aur Auto Sync Data ko off karde.

  Factory Data Reset 

Ye option maine aapko sabse last me isliye bataya hai ki ye option use karne se apka mobile reset ho jayega. Reset hone ke baad mobile ka saara data delete ho jayega aur mobile phirse starting jaisa ho jayega. Is option ko tabhi istamal kare jab apki mobile ki speed bahut slow ya phir apka mobile bahut hi jyada hang hone lage.

Factory Reset karne ke liye →Setting→Backup & Reset par click kare yaha aapko sabse pehle Backup my data option dekhega. Pehle aap ek Backup bana le aur ye backup aapke Google account se server par upload ho jayega. Iske baad Factory data reset karde.

In tariko se yakinan aapko apne mobile phone ki speed badane me madad milegi. Agar apke mann me koi sawal hai tho aap comment karke puch sakte hai.

Post a Comment

0 Comments