Windows Crash Dump Error Kaise Solve Kare ?


Hello friends aaj ham BOSD [ Blue Screen Of Death ] ke baare me pata karenge ke ye problem computer or laptop me kis wajah se aati hai. Agar aap ko Blue Screen Of Death kya hai aur ye kaise aati hai yeh pata nahi nahi hai tho Don't Worry Aaj ke post me ham BOSD se judi har jankari janne ke koshish karenge. Umeed hain ki aap ko ye article jaroor aayega, tho chalo friends time ki barbadi na karte hue aaj post ko shuru karte hai.



What Is BOSD [ Blue Screen Of Death ] | BOSD Kya Hai ?

how-to-solve-BOSD-problem

Friends BOSD ko hindi me mout ke neele screen ko kehte hai. Yaani jab ye error computer me aata hai tab ham computer me kisi bhi tarah ka work nahi kar sakte hai. BOSDs yeh 1993 ke Windows NT Family se shuru hai. Ye error system me software ya fir hardware ke kisi na kisi problem ke wajah se show hoti hai.

Friends aapne ye Blue Screen PC me kabhi-na-kabhi face jaroor kiya hoga aur soch me padhe honge ki yaar ab ye kya hogaya | Na Mouse work ho raha hai na hi Keyboard | Display tho kaha gayab hi ho gaya. Aise me aap darr jate hai ki actually mere computer ko hua kya hai ab tak to sahi tarah se chal raha tha bich me hi ye kya chalu hogaya, tho Friends aapke samane bhi ye Dump Error aata hai tho Don't Panic. Bas niche diye huwe steps follow kare aur BOSD se hamesha ke liye chutkara paaye.

Computer Me Blue Screen Ko Aane Se Kaise Rokhe ?




Friends system me BOSD Software & Hardware issues ke wajah se aati hai. Tho chaliye step by step pata kare Blue Screen Dump Error Kaise Fix kare.

 1 > Problem RAM Memory 

Friends system me RAM me koi fault ho tho BOSD ko face karna padega. Kahi baar aapne dekha hoga ki aap ka Computer sahi tarah se chal raha hota hai aur achanak Restart ho kar Blue Screen Error aa jata hai. Ye problem RAM ki ho sakti hai. 

 How To Fix : 

  • RAM ko clean karo aur phir se reinsert karo problem slove ho jayegi.
  • Phir bhi problem aa rahi hai tho RAM slot ko change karo
  • Phir bhi BOSD aa raha hai tho RAM ko replace karo [ Agar ye problem RAM related hogi to 100% solve ho jayegi ]


 Note :  100% me se 75% Computer me BOSD fault RAM ki wajah si aati hai. Hamesha aise case me first priority RAM ko hi dena chahiye.

2 > Less Memory Of Computer or Laptop 

Less Memory yaani kahi bar Computer ke configure ke according usme RAM Memory kam rehati hai. Yani agar aapke Computer me i5 processor|1tb rom|Graphic card & only 1gb RAM ho to kabhi kabhi BOSD ko aapko face karna padega.

 How To Fix : 

  • RAM upgrade karo


3 > Wrong Drive Installation or Update  

Wrong Drive Installation or Update yaani agar aapne system me wrong device driver Install kar diya hai tho aapke System me Blue Screen kabhi bhi show ho sakti hai. Wrong Drive yaani aap ke Computer me Sound drive | Display Drive aisa install kiya hai jo ki aapke System ke hardware ko support nahi kar raha hai to Aapko BOSD's problem aa sakti hai.

 How To Fix : 

  • Safe Mode Me Jaa kar unwanted drive ko uninstall karo
  • Sound | Display | Ethernet | USB driver ko step by step update karo

4 > Virus Or Malware Problem 

Computer system me buri tarah se virus ka attack hone se bhi yeh problem aati hai. Tho chaliye friends jante hai ki Virus ke wajah se aane wali BOSD error ko kaise solve kare ye pata karenge




Friends Blue Screen Display me ek trend generate hota hai. Jaise ki ***STOP:0x000000050 agar ye code aap Google par search karoge tho Microsoft ke official site pe is problem ka Solution mill jayega. Par aaj ham Virus Or Malware ke wajah se aanewale BOSD ko kaise fix karenge ye janne ki koshish karenge...

Windows has recovered from an unexpected shut down

 How To Fix : 

Friends system me ye Error aane ke piche ek aisa Virus hai jo ek .exe folder me aata hai. Yaani ek normal folder ka koi bhi extension nahi hota hai. Par incase me yeh Virus folder ko .Exe Extension dega aur ham jabhi ham is folder par click karenge tab ye Virus computer ke Startup File me Automatic Run ho jayega aur yahi karan hai ki Computer aapko bar-bar "Windows has recovered from an unexpected shut down" ka popup dikhayi dega. 


●  Sabse pehle Run box ko open kare aur  msconfig command type karke Enter button press kare.



●  Enter button press karte hi aap ke samane System Configuration ka Window open hoga. Yaha par aap Startup button par click kare. Startup button par click karte hi  Computer me jitne bhi Startup program run ho rahe hai wo sab aapke samane show ho jayenge. Friends ab aap ko un Startup program ko Disable karna hai. Jinke Manufacturer me unknown likha ho

Unknown startup item ko Disable karne ke baad Computer ko Restart kare. Ab aapka BOSD problem solve ho jayega. Friends incase ye program phir se Startup me Load ho raha hai tho aap Activated Antivirus se Full Scan karlo ya phir OS ko reinstall karlo aur Virus related BOSD problem solve ho jayegi...

Friends umeed hai ki aap ko Blue Screen Of Death ki poori jankari aur in se kaise chutkara paaye pata chal gaya hoga. Fir bhi is post related aapko koi bhi dout ya problem ho niche comment kare aur ham aapko poori madad karenge.

Post a Comment

1 Comments

  1. Mere system me video nahi chal raha hai thodi der chalta hai aur ruk ruk kar chalta hai kya problem hai

    ReplyDelete