Pendrive Ko RAM Ki Tarah Kaise Istamal Kare ?

Friends aap tho jante hi hain ki ek Computer par Ram Ki Kitni jarurat hain. Agar aapke PC/Laptop par Ram nahi hoga tho aap ka Computer kabhi bhi Start nahi hoga. Isiliye Computer me Ram bahut jaruri hai. Agar aap Windows xp, 7, 8 ya phir Windows 10 use karte ho tho aaj aap mere is post ko follow karke koi bhi Pendrive ko apne Computer me Extra Ram bana kar use kar sakte ho.



Friends Ram ek aise cheez hai ke agar aap chaho tho bhi usko change nahi kar sakte, Kyuki agar aap ka Motherboard old version hai aur har saal Motherboard ki new version hoti rehti hai. Isiliye agar aap Computer ya laptop ke extra Ram na kharid kar apne Pendrive ko Ram Banakar use kar sakte hai.

Friends Pendrive ko Ram bana kar istamal karne ke liye sirf Pendrive ko Virtual Memory ke hisab use karna hoga isse jyada aur kuch nahi hain. Aur virtual memory banana bahut easy hai bas aap ko kuch steps follow karna hai. Ek bar Pendrive ko Virtual Memory banane ke baad aap ise kisi or kaam me istamal nahi kar sakte hain. Lekin aap chaho tho kabhi bhi apne Pendrive ko kisi dusre kaam istamal kar sakte ho. Tho friends chliye dekhte hai kaise Pendrive ko bana kar use karte hai ?

Pendrive Ko RAM Ki Tarah Kaise Use Kare ?

pendrive-ko-ram-tarah-kaise-use-kare

Step 1 :  Sabse pehle aap apne Pendrive ko Computer se Connect kare [ Pendrive kam se kam 2gb ka ho ]

Step 2 :  Ab My Computer par Right mouse click kare uske baad Properties par click kare.

Step 3 :  Ab Property Window khulega usme aap Left side dekh sakte hai Advance System Settings dekhega us par click kare.

Windows advance system settings


Step 4 :  Jaise hi aap advance system settings par click karoge waise hi ek pop-up Window open hoga waha par first aapko Advance par click kare and next Setting button par click kare.

virtual-memory-screen


Step 5 :  Ab aur ek Pop-up Window open hoga isme aap ko first →Advance par click kare aur next → Change button par click kare.

Virtual-Memory-Dialog-Box


Step 6 :  Ab aapke samane Virtual Memory ka ek  Window open hoga aur isem aap Automatically Manage Paging File Size For All Drive ko uncheck kare. Jaise hi aap uncheck kareoge waise hi saare drive show honge. Usme si apne Pendrive ko select kare aur Custom Size par click kare. Aur usme apne Pendrive ki limit de.

Virtual-Memory-Dialog-Box

Note :  Yaad rakhe ki aapke Pendrive me jitni Free Space hai utni hi free space deni hai varna ye Trick kaam nahi karegi.


Step 7 :  Ab Set button par click kare or ok button par click kare. Aapki settings ho chuki hai. Ab computer ko Restart hoga waise hi Computer Pendrive ki memory ko RAM Memory samaj kar speed dega.

Note :  Ab jabhi aap Pendrive ko Computer se bahar karoge tab Eject karke karna kyuki agar aap Eject kare bina bahar nikaloge tho aap ka system kharab ho sakta hai.

Agar aapko ye post acha laga tho Comment karke jaroor bataye aur apne friends ke sath Facebook, aur Whatsapp par share karna na bhule. Agar is post se related koi bhi problem ho tho niche comment karke bataye ham jaroor apki help karenge. 

Post a Comment

0 Comments