SBI Account Online Transfer Kaise Kare Ek Branch Se Dusre Branch Me

Hello friends aaj hum janege ki SBI Account Online Transfer Kaise kare Ek Branch Se Dusri Branch Me. Agar aapka SBI me account hai aur aap chahate ho ki aapka Bank ki Branch ko change kare tho aap online ya offline change kar sakte hai. Bahut se log kisi kaaran se apna address change karte hain aur isi kaaran se unhe apni branch ko bhi change karna padta hai.

sbi-bank-account-online-transfer-kaise-kare

Kya SBI Branch Ko Offline Change Kiya Jaa Sakta Hai Ya Nahi 




Haa aap offline bhi apne bank ki Branch ko change kar sakte hai aur iske liye aap ko aapne bank jakar application likhni hoti hai. Iske sath-sath aapko PassBook ya Cheques Book change karne ke liye Address Proof, Pan Card, aur Form Fill karna padta hai. 



Aur aapko Online Branch change karne ke liye kisi bhi documents ki jarurat nahi hai, lekin aap ko Branch Code ki jarurat padti hai

Branch Change Karne Ke Liye Online Ya Offline Me Se Konsa Sahi Tarika Hai ?

Online aur Offline me se Online branch change karana sahi hai, Kyun ki aap chahe tho bank jaa kar bhi apna SBI Account dusri bank me transfer kar sakte hai, lekin aisa karne par aapko Form bharane ke sath-sath Bank ke kayi chakkar bhi lagane  padh sakte hai aur isase aap ka time bhi waste hoga aur mehanat alag karni padegi. Agar aap Online Submit karte hai to aapko is tarah ki koi problem nahi hogi fir bhi agar aap Offline Application Submit karna chahte hai tho kar sakte hain.

Also Read : 


SBI Account Online Transfer Kaise Kare ?




> Sabse pehle apna Web Browser Open kejiye aur aapko SBI ki is Website www..onlinesbi.com ko open karna hai.

online-sbi-website

> Yaha par agar aap Net Banking istamal karte hain tho aapko Log-In karna hai aur agar aap Online Net Banking lena chahate hai to aap New User Registration par click karke Net Banking le sakte hain. Abhi aap Login par click kare.

sbi-home-page

> Ab aap Continue To Log In par click kare.
online-net-banking-login

>  Yaha par aapse net banking ka user name aur password pucha jayega aap apna Internet Banking ka User Name aur Password fill kare aur Login par click kare

entering-username-password

> Jab aapka Account open ho jaye tho apko E-Service par click karna hai.

sbi-e-service

> Iske baad left side par Transfer Saving Account par click kare.

sbi-saving-account-transfer

> Ab aapse us Branch ka Code aur Branch Name puch jayega jaha aap apna Account Transfer karna chahate hai wo Branch Code dale aur Get Branch Name par click kare aur aapki us brach ka name aa jayega jaha aap Brach Transfer karna chahte hai.

enter-brach-code-and-branch-name

> Iske baad I Accept par Tik [ ✔ ] kare aur Submit button par click kare.



> Ab aapke samane aapki Account Details aur us Branch ki Details dikhayi degi. Ise check kare ki sahi hai ki nahi aur sahi hone par Confirm par click kare.

> Ab aapke Registered Mobile par ek OTP send kiya jayega is OTP ko enter karne ke baad Submit par click kare.



Iske baad aapki application submit ho jayegi aur aapka SBI Account Online Transfer ho jayega aur aapko bank jane ki jarurat bhi nahi padegi aur iske baad aapka kaam sirf PassBook lene ka hain aur agar Passbook par barcode system hai tho use update karne ka hai.

Also Read :

>Kaise Pata Kare Hamhara Mobile Ya Whatsapp Hack Hua Hai Ya Nahi

>Google Chrome Me Saved Password Kaise Dekhe [ Top Methods ]

>Police Chori Huye Mobile Ka Location Kaise Trace Karti Hai

Agar is post se related  aapke mann me koi sawal ho tho aap comment  kar ke puch sakte hain.


Post a Comment

1 Comments