IMSI Catcher Se Mobile Calls Ko Kaise Hack Kiya Jaata Hai

Hello Friends aapne kabhi Man-In-The-Middle Attack ke baare me sunna hoga jisme ek hacker kisi bhi user ke ID aur Password ko chura leta hai. Par kya aapne kabhi sunna hai ki man-in-the-middle attack do caller ke bhich me ho sakta hai. Jis ki madad se hacker un dono caller ke bich me kya baatchit ho rahi hai wo kahi se bhi sunn sakta hai. Uske sath sath wo kisi particular area me rehne wale kisi bhi do person ke bhich me phone par hone wale baatein tap kar sakta hai. 

Friends aaj aap ko IMSI Catcher ke baare me poori jankari Hindi me share karne wale hai, jis ke madad se aap ko yah pata chalega ki Hacker ya Police kis tarah se kisi ka bhi mobile tap karte hai aur unki baatein sunte hai. Tho chaliye shuru kare

IMSI Catcher Kya Hai | What Is IMSI Catcher ?


Friend IMSI Catcher ka poora name International Mobile Subscriber Identity Catcher hai. Jo mobile phone identity ka unique number hota hai jisase mobile ki pehechan ki jaati hain. Jaise ki IMEI number mobile ke SIM ka identity number hota hai. 

IMSI ek 15 digit ka unique identity number hai. Jo sabhi Cellular Network se connected hota hai aur IMS number ke wajah se hamhra phone kisi bhi tower se connect ho pata hai aur issi IMS number ke wajah se mobile ki location aur mobile ke user ke baare me jankari milti hai.


IMS Number 3 hisse me divide kiya gaya hai. Jaise ki niche diye gaye Image me aap dekh sakte hai MCC se User ke County ke baare me pata chalta hai. MNC se Mobile Network Code ke baare me pata chalata hai. Jaise ki Airtel, Jio, Vodafone, etc. Network Provider ke apne apne unique code hote hai. Phir aata MSIN jisase Mobile Subscriber ki information milti hain. 


Friends IMEI number ka use karke Security Services, Intelligence Agency kisi ke bhi Mobile ko Trace kar ke unki Live Location pata kar sakte hai aur wo user ka phone kon se Area me hai, Konse Network Tower se connected hai aur kisi ko call kiya jaa raha hai ya kisi ka call receive ho raha hai yeh sab pata kar sakte hai aur sab kewal Intelligence Agency hi nahi koyi bhi Black Hat Hacker IMSI number ka use kar ke kisi bhi particular mobile ko target karke uske phone ko tap kar sakta hain ya to us Area me jitne bhi mobile phone hai un saare mobile ke calls ko hack kar sakta hai. Uske liye Hackers IMSI Catcher name ke Device ko use karte hai. 

IMSI Catcher Device Kaise Kaam Karte Hai 


Kisi bhi call ko tap karne ke liye Police ya Hacker IMSI Catcher Device ko kisi laptop ke sath connect kar dete hai jiske setup aap niche Images me  dekh sakte ho uske baad aap kisi bhi call ko sun sakte ho



IMSI Catcher Device kaise kaam karta hai yeh samajne ke liye aap ko mobile calls kaise kaam karta hai yeh samajana padega jaise ki agar aap mobile se kisi ko call karte ho to wo samane wale ko kis tarah se connect hota hai ? Jaise ki mann lo aap apne phone se kisi ko bhi call karte ho us samay aapka mobile aapke sabse nazdik wale Network Tower ko dekhta hai aur us network se connect hota hai.

Tho yaha IMSI Catcher Device hai wo issi chiz ka fayada utta tha hai jaise ki agar aap IMSI Catcher Device ka istamal karoge to yaha device uske area ke phone ko aisa ghumrah karta hai ki un phones ko aisa lagta hai ki unke sabse close jo network hai wo yahi device hai. Yaani ke wo phone IMSI Catcher Device ko aapne sabse nazdik tower samaj ke unse connect hota hai.

Yaani ab jabhi koyi bhi targeted user kisi ko call karega wo call IMSI Catcher Device ke jariye aage forward hogi jisase us user ke phone ko bhi yeh pata nahi chalega ki uske phone ko  koi aur tap kar raha hai tho issi tarah IMSI Catcher Device ke madad se aap kisi ke bhi call sun sakte ho

IMSI Catcher Device Ka Istamal Kon Karte Hai ?


IMSI Catcher ka istamal Military, Police aur Border Petroleum Unit karte hai taaki wo aapne targeted victim ka call trace kar saake. Friends agar aap movie me dekhe honge ki police kisi user ke call ko police station me bhait kar sunte hai. Tho yeh sab IMSI Catcher Device ke madad se hi possible hai.



Starting me IMSI Catcher ki size badi huwa karti thi par technology update hone ke baad ab IMSI Catcher itne chote size me bhi aane lagi hi aap kisi Drone me laga kar  kisi bhi area ke phone ko tap kar sakte hai.

Friends kisi bhi phone ke live call ko sunne ke liye aapke pass IMSI Catcher Drive, Kali Linux aur Aapke Laptop ya PC me High Speed Internet hona bahut jaryri hai. Jiske baad aap kisi bhi network ko tap kar sakte hai. Tho friends yeh post kaise lagi aapko comment me jarur bataye aur is post ko share karna na bhule 

Post a Comment

1 Comments

  1. Wah Bhai 👍 bahut hi achi jankari thi aur to aur wo b Hindi me .....bahut Sara sikhne ko Mila apki is post se

    ReplyDelete