10 Android Useful Applications Jo Sabhi Phones Me Install Honi Chahiye

Mobile ki jaroori 10 applications ke baare me batane wala hu jo ek smartphones me honi hi chahiye. Jisase aapke jo kaam hai wo aur aasan ho jayenge, ye 15 applications har category ke hai.

New user mobile karid lete hai, But unhe sahi jankari na hone ke karan kuch faltu ke apps rakh lete hai aur jo unke liye Harmful hoti hai. Unke karan mobile hack bhi ho sakta hai. So me aapke 10 top Usefull apps ke baare me batane wala hu.

Tho chaliye shuru karte hai. Ye Android Applications har user ke liye bahut userfull hai.

Hindi Me Infotech

Top Usefull Android Applications For All Mobiles

1 - Smart Kit 360

      Is app me aapke phone ke kayi saare features mill jate hai. Jaise flash lights, alaram set, etc. Jaise 32 features smart kit 360 me miil jate hai.

      Download Smart Kit 360

2 - All In One File Viewer

     Aap Android mobile use karte hai tho usme alag-alag type ke file tho rakhte hi honge. Jaise ki pdf file, doc file, xml, zip, rar, jaise aur bhi kayi saare files rakhte hi honge. Inhe open karne ke liye apko alag-alag apps ki jaroorat padti hai. But ye application aapko sabhi format ko open karne ka option deti hai.

       Is application se lagbag 100 type ke formats ko open kiya jaa sakta hai. Iske alawa isme move/copy/paste bhi kaafi fast hoti hai.
   
        Download All In One File Viewer

3 - Hermit 

       Hermit app sabhi Android user ke liye bahut jaroori application hai. Jab aap mobile me jyada apps ko install kar lete hai, tho aapka mobile hang hone lagta hai. Tho is situation me aap Hermit app ka use kar sakte hai.

       Ye aapke mobile ki sabhi applications ka lite version bana deti hai. Jisase apps ka size bhi kam ho jata hai. Aur aapka mobile hang hone se bhi bach jata hai. Hermit ka use kar aap apne mobile me bahut saare apps install rakh sakte hai.

             Download Hermit

4 - Betternet VPN

            Friends ye ek VPN [Virtual Private Network] hai. Iska use aap tab kar sakte hai jab aapko koi blocked website par jana ho.
         Aapne kabhi notice kiya hoga ki aap kisi webpage ko open karte hai but wo open nahi hota hai. Kyuki us webpage ko aapke country se block kiya gaya hota hai. Isiliye aap is app use kar kisi bhi website me enter ho sakte hai.
       
            Isme location choose karne ka option rehta hai. Jiska use aap kisi bhi website ya app ko kholne me kar sakte ho. 

Iske alawa ye aapke mobile ki IP Address & other details ko bhi hide kar deta hai. Jisase kisi ko bhi pata nahi chalta ki aap kis country se ho. VPN ka use adult or hacking website me enter hone ke liye bhi hota hai.

             Download BetterNet VPN


5 - YouTube Go 

          Is app ko YouTube video ko slow internet par dekhne ke liye banaya gaya hai. Kabhi-kabhi ham YouTube video dekhte hai aur hamhare phone ki net ki speed slow ho jati hai. Tho video ruk-ruk kar chalta hai. Iske liye YouTube Go ka use kar sakte hai. 

Ye app slow net me bhi aapko YouTube video dekhne ka feature deta hai. Isme kam data me high quality ki video dekha jaa sakta hai.

              Download YouTube Go

6 - PicsArt 

         Agar aap photo editing me shouk rakhte hai tho ye app aapke liye bahut useful hai. Iske jaisa Android Platform me dusra photo editing app nahi hai. PicsArt ke kayi aise tools hai jo aapke photo ko aur bhi jyada shandar bana denge.

PicsArt editor Kisi Photoshop se kam nahi hai. Isme bhi Adobe Photoshop jaise photo banaya jaa sakta hai.

               Download PicsArt

7 - KineMaster- Pro Video Editor

           Agar aap video editing ka shouk rakte hai. Tho aapke liye KineMaster ek bahut badiya app hai. Iss app ki madad se aap kisi bhi video ko ek shandar look de sakte hai. 
YouTube video editing karne ke liye ye no.1  app hai.

             Download KineMaster

8 - Clipborad Actions

          Iss app ki madad se jitne bhi text aap apne smartphones me copy kiye hue hote hai. Ye app un sabhi texts ko ek jagah par save kar leti hai. Aur un texts ko ham jab chahe tab use kar sakte hai.

Ye app har copy kiye gaye text se link,number,aur location ko alag alag kar deti hai. Aur ye app translation ka feature bhi deti hai.

            Download Clipboard Actions

9 - Scanbot - PDF Document Scanner 

        Ye app mobile user ko mobile me hi scanning ka option deti hai. Is app se aap free me koi document scan kar sakte ho. Ye app use karna bahut hi easy hai aur ye fast service provide karti hai. 

Aap jis document ko scan karna chahate ho us document ko camera ke samne rakhne par ye app apne aap us document ko scan kar leti hai. Ye app us document ko apne aap resize aur crop bhi kar deti hai. Scan hue documents ko aap Google drive, Dropbox, etc. PDF me save kar sakte hai.

Online form bharne aur koi bhi documents scan karne ke liye ye app bahut helpful hai.

             Download Scanbot

10 - AC3 Player 

          Ye ek video player application hai. Aapne kabhi MX Player me AC3 audio format chalane ki koshish ki hogi tho waha par us video ka sound nahi aata hai. Matlab AC3 format support nahi karta hai. Isiliye AC3 player aapke liye helpful hogi.

            Download AC3 Player

Also, read : 

 Mobile Phone Ko Fast Kaise Kare ?

● Mobile Ko Flash Kaise Kare ? 


Ye hai 10 Android Useful Applications jo har mobile me honi chahiye. Agar is post se koi aapke mann ne sawal hai tho aap niche comment kar ke puch sakte hai.

Post a Comment

1 Comments

  1. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete