Top 10 Programming Languages That You Need To Learn

Aaj ke time mai coding skills ki high demand hai. Isliye coding ke jobs aaj ke time me average position pe bhi achi salary milti hai.agar koi ek programming language ki jankari hai apke pass tho apke resume ki value bad jati hai.



    Ye programming languages har sector me use hoti hai. Jaise Enterprise System ke bahut se complicated functions perform karne ke liye aur highly organized rehane ke liye, programming languages jaise Java , C , C++ aur C# ki jarurat padti hai. Webpage design karne aur banane ke liye dynamic,versatile aur functional languages ki jarurat padti hai. Jaise Ruby, PHP, HTML, JavaScript aur objective C.


Top 10 Programming Languages


top-ten-programming-languages

  1 >  JAVA
  
   Java ek object oriented programming language hai. Jise James Gosling ne 1995 me develop kiya tha.Ye sabse jyada demanding programming language me se ek hai. Jo ki Enterprise Software, web based content, Games, aur Android Operating System me use hoti hai. Java ko Multiple Software Platform me bhi use kar sakte hai.

  2 > JavaScript 



      JavaScript ek Client aur Server-side scripting language hai. Is language ko Netscape ne discover kiya hai.iske jyada tar syntax C language se liye gaye hai. Ise Multiple Web Browsers pe use kiya jata hai. Aur ise Animated Web ke functions develop karne ke liye use kiya jata hai. Ise Games Development aur Desktop Application banane ke liye bhi use kiya jata hai. JavaScript Google Chrome Extensions, Apple Safari Extensions, Adobe Acrobat aur Reader me use hoti hai.

  3 > C Language 
    
       Ye language General purpose ke liye ek imperative computer programming language hai. Is language ko Dennis Ritchie 1972 me develop kiye the. C sabse Oldest aur Most Widely Used programming language hai. Jo ki other popular languages ko blocks provide karti hai. Jaise C#, Java aur JavaScript. C mostly operating systems aur embedded applications ko implemented karne me use hoti hai.

  4 > C++
  
        Ye ek intermediate language hai. Jis me Object Oriented Programming features hai. Jo ki Originally Designed hai. Aur C language ko support karti hai. C++ ka use System Software, Application Software, High Performance Servers,Client Application ko develop karne ke liye use hoti hai.

   5 > C#
     
         C# ' C-Sharp ' ke naam se pronounce kiya jata hai. C# Multi Paradigm language hai. Ise Microsoft ne develop kiya hai. Aur ye .NET initiative ka ek part hai. Jis me C aur C++ ke principles ko combine kiya gaya hai. C# ek General purpose language hai. Jisase Microsoft aur Windows Platform ke software develop kiye jate hai. 




  6 > Objective-C

        Ye ek General purpose aur object-oriented programming language hai. Is language ko Apple operating system wale use karte hai. Isase Apple's OS, IOS aur APIs bhi power kiye jate hai. Aur isase IPhones ke apps bhi develop kiye jate hai. Isliye is language ki demand bad rahi hai.

  7 > Python 

     Python websites aur mobile applications ke liye high-level scripting language hai. Beginners ke liye python ek easy language hai. Developer sirf code ke kuch lines use karke concept bana sakte hai. Ye Web apps ko power karti hai. Jaise ki Facebook, instagram, aur Pinterest. Ise Google, Yahoo aur NASA bhi use karte hai.

  8 > PHP( Hypertext Processor )

     Ye ek scripting language hai. Jise dynamic websites aur Apps Development ko design karne ke liye use kiya jata hai. Ise direct HTML Source Document ke jaisa embedded kiya ja sakta hai bina koi external file banai, isi wajah se ye popular programming language hai web developer ke liye. PHP 200 million se jyada websites ko power karti hai.

   9 > Ruby 

      Ye ek Dynamic objects oriented scripting programming language hai. Ise Websites aur mobile application develop karne ke liye use kiya jata hai. Ruby ko simple aur easy writing ke liye develop kiya gaya hai. Ruby Rails Framework ko power karti hai. Python ki tarah Ruby bhi Beginners ke liye user friendly mana jata hai.

  10 > SQL ( Structured Query Language )

         SQL ko Donald Chamberlin aur raymond ne 1970s me develop kiya tha. ye ek special purpose language hai. Jisase Database Management System me Data Manage karne ke liye use kiya jata hai. Ise commonly ' Query ' function ke liye use kiya jata hai. Jo ki information Database ko search karta hai.

Also, read :

● Hackers Use Karne Ke Top 7 Operating Systems
WHAT IS UBUNTU? FULL INFORMATION IN HINDI
 Top 3 Android Mobile Secret Codes In Hindi

Tips: Agar apko koi programming language sikhna chahte hai tho aap w3school.com ya phir Javatpoint.com per ghar bhaite ye 2 website se sikh sakte hai. 

Agar apko humhari ye post acchi lage tho aap isko jarur share kare.

Post a Comment

0 Comments