Latest Android Tricks And Tips - 2018

Hello friends smartphone ki duniya bahut hi rochak hai, aaj kal ke smartphones ki anokhi duniya me jyadatar sabhi log smart phone istamal karte hain. Ab log bahut hi smart ho gaye hai bahut saare kaam smartphones ki madad se ghar bhaite, rah chalte aasani se kaam kar lete hai. Kayi saare smartphone users kayi saare tricks ka upyog karke normal smart phone users se ek kadam aage nikhal jaate hain. Aaj mai aap logo ko Android Tricks And Tips ke baare me bataunga jinaki madad se aap kayi saare kaam bade hi aasani se kar sakte hai.




Latest Android Tricks n Tips


Aaj hum Android ke latest tips and tricks ke baare me janenge jo bahut hi kamal ke hai. Ho sakte hai inme se kuch tricks aap ko pata bhi ho lekin kuch aise bhi Android tip and tricks honge jo shayad aapko na pata ho, tho chaliye jante hai android tricks and Tips ke baare me.

1. Use Any Applications Without Installing




Hamhe jab bhi koi android application download karna hota hai to hum Play Store ka istamal karte hai. Play Store par aapko dare saare applications dekhne ko milte hai jo sabhi alag-alag size ke hote hai. Kayi saare application aise hote hai jo bahut bade size ke hote hai. Samanya taur par hum log play store se application download karne ke baad hi unka istamal kar pate hai. Lekin agar aap download karne se pehle us application ka istamal kar ke dekhna chahte ho to niche diye huwe Android Tricks And Tips ka use karke dekh sakte hai.

Note : is trick ka istamal aap sirf latest android version me kar sakte hai.

  • Sabse pehle aap ko Google ke sabhi applications [ Google, Play Services, Crome ] ko update karna hai.

  • Iske baad aapko apne smartphone me Google Settings me jana hai.

  • Google settings me jane ke baad aapko Instant Apps ka option dekhayi dega aap ko use On karna hai.

  • Jaise hi aap on karoge waise hi aap ke samane 2 options aayenge NO THANKS or YES I'AM IN aur aap ko YES I'AM IN par click karna hai.




Ab aap play store se apps download karoge to aapko install application ke sath-sath Try Now ka option bhi dekhayi dega.


2. Screen Pining

Android me screen pining ka jo feature hai bahut hi upayogi hai. Lekin is feature ke baare me kayi saare smartphone user ko pata nahi hota hai jiske wajah se is feature ka istamal nahi kar pate hain. Kayi log hamse kisi na kisi karan se smartphone mangte hai aur hamhe dena bhi padta hai aise samay me yeh feature bahut hi useful hain.



Mann lijiye aap se kisi ne call karne ke liye phone manga, lekin kayi log call karne ke bajaye gallery waigara kholne lagta hain. Isiliye jab bhi aap kisi ko mobile de to screen pining on kar de. To chaliye jante hai is feature ko kaise enable karte hai ?

  • Sabse pehle aapko apne smartphone ki Settings me jana hai.


  • Ab aap ko Security option ko select kare



  • Iske baad aapko Screen Pining ka option dekhayi dega use On kar de.

  • Ab jab bhi aap kisi smartphone de samane wale insan ko jis application ka upyog karna usse open kare. 

  • Fir aapko Multitasking button ka istamal kare tab aapko pin karne ka option dekhayi dega

  • Ab Pin Icon ko touch karna hai. 

Aapne jis application ko pin kiya hai uske alawa dusre applications istamal nahi payenge. Screen pining ko unpin karne ke liye 

  • Phone ke Back button aur Multi Task button ko kuch seconds touch karke rakhe.




3. Finger Print Scanner Trick

Aaj kal jyada tar sabhi smartphone me apko Finger Print Sensor dekhne ko milta hai. Finger Print Scanner ko kisi bhi smartphone ke liye bahut hi secure mana jata hai. Jab hum ghar par hote hai to hamhare bhai-behan zabardasti se finger touch kara kar lock open kar lete hain. Ya phir hum jab so rahe hote hai tab chupke se finger touch kara kar bhi lock aasani se khol lete hain. Agar aapke sath bhi kuch aisa hi huwa hai to aap niche diye trick ka istamal karna chahiye




  • Sabse pehle aapko play store se Disable Finger name ka application download karna hai.

  • Aap ko sabhi permission ko allow karna hai.

  • Ab aap ko jabhi Finger Print Scanner band/disable karna hai tho aap is application ki madad se kar sakte hai.

4. Get Full Information About Phone

Kayi baar hamhe android phone ke baare me poori jankari chahiye hoti hai. Agar aap bhi kisi Android phone ke baare me poori jankari chahate hai Jaise -  kisi application ko tab tak istamal kiya, kitne baje istamal kiya, WiFi ke baare me jankari, phone ki poori jankari  aur bhi kayi tarah ki jankari chahate hain to mai aapko ek simple sa tarika batane jaa raha hu jiski madad se aasani se aap poori information le sakte hai.

  • Sabse pehle aapko apne mobile ka Dial Pad open karna hai.

  • Uske baad aapko type karna hain *#*#4636#*#*

  • Iske baad aapko smartphone according kayi saare options aayenge jaise ki - Phone Information, Battery Information, Usage Statistics, WiFi Information, etc.

  • Ab aap apne hisab se option choose kar ke jankari haasil kar sakte hain.
5. Chrome Search Bar Trick


Aaj kal kayi smartphone ke screen size kaafi bade hote hai aise me kayi baar jab chrome browser me kuch bhi search karna hai to dono hath ka upyog karna padta hai. Samanya taur par chrome ka search bar upar hota hai, agar search baar niche ho to hum ek haath se hi bade smartphone me bhi aasani se seach kar sakte hain. Chaliye ab jante hai ki chrome browser me search bar ko niche kaise laaye -

  • Sabse pehle apko apne smartphone me chrome browser ko open karna hai.

  • Ab search bar me type karna hai » "Chrome://flags " fir search karna hai.

  • Aap ke samane bahut saare options aayenge, aapko 3 dout option button par click karke find in page option select karna hai.

  • Find in page me aapko search karna hai Chrome Home aapke samane chrome home ka option aayega uske niche default likha huwa hoga. Usko click kar ke default ki jagah ki jagah enabled select kar de.

  • Aap ke chrome browser ko close kar reopen kare aap dekh sakte hai ki search bar niche aa jayega.
Mai umeed karta hu ki aap logo ko latest Android Tricks And Tips jaroor pasand aaye honge, agar yeh post aap ko pasand aayi ho to ise apne friends ke sath social media par share jarur kare.



Post a Comment

0 Comments